Ghar Par Makeup Karne Ke Tarika - 5 Makeup Tips In Hindi (2024)

Makeup Karne ke Tarika : Har ladki sundar dikhana chahti hai aur yahi karan hai ki makeup karna har ladki ko pasand hota hai. Bahut si ladkiya makeup karwane ke liye beauty parlour jati hai lekin beauty parlour par makeup karwane mein bahut paise kharch hote hai is mehangayi mein har bar makeup karwane ke liye beauty parlour jana aasan nahi. Agar aap makeup kaise kare iske sahitarike jaan le to aap ghar par khud manchaha makeup kar sakti hai.Is article main hum janengebridalmakeup tips in hindi aur step by step ye bhi janenge ki makeup karne ke tarike kya hai.

Apni shaadi mein khubsurat dikhna har dulhan ka sapna hota hai. Agar kisi wajah se aap bridal makeup ke liye beauty parlour nahi ja sakti to aap ye tips ghar par khud bhi kar sakti hai.Aaiye jante hai sahi tarike se ghar par makeup kaise kare.

  • JaneChehre ko Khubsurat Banane ke Upay
  • Jane30 Minute Me Apne Chehre ko Nikhare

MakeUp Karne ke Tarike – BridalMakeup Tips in Hindi

1. Mouth Wash

Makeup kisi bhi type ka ho sab se pahla step mouth wash hai. Isse aapke chehre ki dust nikal jayegi. Chehra dhone ke liye aapface wash ya kisi moisturizing cream ka paryog bhi kar sakte hai.

  • Jane Rang Saaf Karne ke Gharelu Tips

2. Makeup Base Kaise Banaye

Makeup base banana ache makeup ke liye sabse important part hota hai, jisse chehre ke keel muhase, daag dhabbe, pimples aur kisi parkar ka nishan ko chipaya jata hai.Aajkal market mein naye naye beauty products available hai jinka paryog hum makeup base banane mein kar sakte hai. Jane Bina makeup sundar kaise dikhe.

(a) Foundation

  • Makeup ka base banane ka ye pahla tarika hai jo pahle paryog kiya jata tha. Foundation mein koi beauty cream mila kar chehre aur gurdan par halke hatho se thapthapa kar lagaye.
  • Garmiyo mein foundation based makeup karne se paseena jada aata hai jisse makeup jaldi kharab ho jata hai, iske ilava foundation ke paryog se chehre par pimples nikalne lagte hai. Foundation ka paryog 35 saal se adhik umar ki mahilao ke liye jada acha hai.

(b) Concealer

  • Makeup base banane ka latest aur best tarika hai ki aap concealerka paryog kare. Concealer kafi tarah ke hote hai, brush type, cream type jo kisi dabbi mein sponj ke sath aata hai aur tube type.
  • Agar aap cream wala concealer paryog kar rahe hai to spaunj ki madad se chehre aur gardan par halke hatho se thapthapaye.
  • Naak(Nose) patla dikhana ho to naak ki dono taraf halke rang ka concealer lagaye aur naak ki lambayi tak highlighter lagaye.

Foundation ho ya concealer, dono chehre ke rang ke anusar hi lagaye. Example ke liye – Agar aapki skin ka color dark hai to use light color base lagaye. Makeup ka base banane ke liye skin tone se milta hua color hi chune.

  • Jane Face se Wrinkles Khatam Karne ke Upay
  • Jane Oily aur Dry Skin Ka Upchar Kaise Kare

3. First Touchup Kare

  • Makup base banane ke baad nextstep hai face ko first touchup dene ka, jisme hum blusher ka isteemaal karte hai.
  • Dhyaan rahe ki blush ko faila kar aur daba kar gehra karke na lagaye. Blushermein bhi skin ke rang ke anusaar color aate hai, isliye aap apne chehre ke rang ke anusar hi blush select kare. Sanwali tavacha ke liye brown colour aur gore rang ke liye pink color ka paryog kare.
  • Makeup ki sahi tarike se finishing karna bahut jaruri hai. Aap ko eyes ka makeup shuru karne se pahle ye dhyaan dena hoga ki aapka makeup base achi se blund ho jaye.

4. Eyes Makeup Kaise Kare

  • Ab agla step hai eyes ko beautiful kaise banaye. Eyes badi aur sundar dikhane ke liye bari bari se eyeliner, maskara aur eyeshadow ka istemaal kare.
  • Sabse pahle eyeshadow lagaye, ise aap apni dress ke according select kar sakte hai. Aankho ko jada attractive dikhane ke liye dark color use kare.
  • Eyes makeup ke dusre step mein eyeliner ka paryog kare. Agar aap ankho ko gehra dikhana chahte hai to aankho ke niche bhi eyeliner lagaye, isse aankhe badi badi lagegi aur aapko kajal bhi nahi lagana padega.
  • Ab baari hai maskara lagane ki. Maskara behad dhyaan se paryog kare, jaldbaji mein kiya gya to ye aapki eyes ka makeup kharab kar sakta hai.
  • Agar aapki eyebrow ki shape sahi nahi hai to aap eyebrow pencil se eyebrow ko shape de sakte hai.
  • Jane Nose se Blackheads Kaise Remove Kare
  • Jane Aankho ke Neeche Dark Circles Kaise Hataye

5. Lips ka Makeup Karne ke Tarike

  • Lips ke makeup ke liye lipstick ka paryog kare. Lipstick bhi kafi colors mein aati hai isliye aap apni skin ke according hi lipstick ka color chune.
  • Jis tarah makeup lagane se pahle aapne makeup base banaya thik vese hi lipstick lagane se pahle aap hotho ka base banaye jiske liye aap primer ka paryog kare. Isse hotho ki darare chip jati hai. Iske baad lip liner se hotho ki outline banye aur uske baad hotho par lipstick lagaye.
  • Lipstick lagate samay lip line ka dhyaan rakhe. Aapki lipstick lip line se bahar na jaye.
  • Lips ki shinning ke liye aap lip glow ka paryog bhi kar sakte hai.
  • Jane Gharelu Nuskhe for Pink Lips in Hindi.

Quick Makeup Tips in Hindi

  • Sabse pahle face ki dust nikalne ke liye chehre ko moisturiser se saaf kare. Iske liye aap cotton use kar sakte hai. Iske baad face ke rang se match karta hua foundation ya concealer lagaye fir gaalo par blusher lagaye. Iske baad aankho ko sunder dikhane ke liye eyes ka makeup kare aur last mein hotho par lipstick aur lipliner lagaye.
  • Baalo ko Khubsurat Kaise Banaye
  • Chehre se Til aur Masse KaiseHataye
  • Rang Gora Kaise Kare GhareluUpay

MakeUp Karne ke Tarike,Bridal Makeup Tips in Hindika ye lekh aapko kaise laga hame comment kar ke bataye. Ghar par makeup kaise kare ka ye article hamara ek paryas hai beauty tips sahi se samjhane ka,aur agar is koshishmein humne koi mistake ki hai ya fir kuch add karna bhul gaye to niche commemt kar ke jarur bataye. Makeup karne se sundar kaise dikhe, agar is topic par aapke pass koi sujhav ya tips ho to hamare sath share kare.

Ghar Par Makeup Karne Ke Tarika - 5 Makeup Tips In Hindi (2024)

References

Top Articles
Latest Posts
Article information

Author: Msgr. Refugio Daniel

Last Updated:

Views: 5946

Rating: 4.3 / 5 (74 voted)

Reviews: 81% of readers found this page helpful

Author information

Name: Msgr. Refugio Daniel

Birthday: 1999-09-15

Address: 8416 Beatty Center, Derekfort, VA 72092-0500

Phone: +6838967160603

Job: Mining Executive

Hobby: Woodworking, Knitting, Fishing, Coffee roasting, Kayaking, Horseback riding, Kite flying

Introduction: My name is Msgr. Refugio Daniel, I am a fine, precious, encouraging, calm, glamorous, vivacious, friendly person who loves writing and wants to share my knowledge and understanding with you.